Wednesday 13 July 2011

My Feelings Happy n Sad

Jab Bhi Banna Chahe Hum Jag Ke
Hui Humari Jag Hasaaeen
Pyaar Manga Tha Aapse
Aapne Di Sirf Aur Sirf Ruswai
Tere Dar Pe Sanam Sar Ko Jhukaya Tha
Chodh Ke Sabko Tujhe Aapna Banaya Tha
Socha Tha Aashiyaan Pyaar Ka Banega Humse
Toot Jayega Bandhan Yeh Na Socha Tha Tumse

Aankhon Main Chupaya Tha Palkon Pe Bithaya Tha
Ek Tera Hi Tha Naam Jo Labon Pe Sajaya Tha
Takdeer Meri Mujhse Kyon Khel Rahi Ye Khel
Na Aapki Koi Khabar Na Aapse Hua Koi Mail
Kyon Ruth Gaye Mujhse Kyon Khafa Ho Gaye Tum
Na Samjha Sake Ek Duje Ko Bus Yahi To Hai Gum
Dus Kadam Chalte Hain Sabh
Koi Zindagi Bhar Saath Nahi Nibhata
Agar Rone Se Mit Jaati Yaadein
To Hans Kar Koi Gum Nahi Chupata
Har Saans Pe Humari
Likha Hain Naam Bus Tumhara
Is Doobti Kashti Ko Mano
Jaise Mil Gaya Ho Kinara
Na Jaane Kyon Lagtata Tha
Zindagi Jaise Khatm Ho Gayi Hai
Par Ab To Ho Gaya Kinaron Se Dostana Humara
Jaane Kyon Milkar Aapse
Yeh Ehasaas Hota Hai
Dil Yeh Humara Harpal
Bekarar Hot Hai
Na Chain Hain Raton Ko Na Din Ka Aaram Hai
Kya Isi Ka Naam Pyaar Hota Hai.
Har Pal Dil Bekarar Reheta Hain
In Aankhon Ko Aapka Intezaar Reheta Hain
Pukarti Hain Tanhaai Sirf Aapka Hi Naam
Aapna Bhi Hame Ab To Begana Sa Jaan Padta Hain

                Dil Ki Lagi Koi Jaane Na
                Mitha Sa Dard Pehechane Na
                Deewana Kar Deta Hai Yeah Sabko
                Is Ke Bina Koi Jee Paye Na.


Bekarari Main Karar Dete Hain
Tanhaai Main Aksar Saath Dete Hain
Yeh Anjul Hi Ek Humare Hain
Jo Har Pal Humara Saath Dete Hain


                Deewnagi Aksar Humse Poochti Hai
                Kisne Deewana Banaya Hai Aapko
                Kya Kehete Deewangi Se Hum
                Pana Chaha Jise Na Pakar
                Paya Humne Intazaar Ko


Dil Main Hain Hazaar Batein
Bataen To Baten Kisko
Jab Bhi Samjha Hume Aapna
Bas Pal Mein Kho Diya Usko


                Chandni Raat Hai Hume Neend Nahi Aati
                Paas Aao Humare Ke Judaai Sahi Nahi Jaati
                Yeh Farmane Aankhon Se Pesh Kiye Jaate Hain
                Warna Aisi Baatein Hoton Se Kahi Nahi Jaati


Socha Tha Mil Gayi Manzil Hume
Khatm Hui Talaash Humari
Is Taraha Khoye Teri Galiyoon Mein
Lagta Hain Yeh Hai Shurwaat Humari
Karenge Is Kadar Pyaar Hum
Na Kiya Hoga Aapse Kisine
Ke Karoge Darkwaas Khudase
Mile Aap Har Janam Mein Humise



Har Saans Mein Humari Aati Hai Khusboo Sanson Ki Tumhare
Hui Koi Aahat To Lagta Hai De Rahe Ho Dastk Tum Dil Ke Darwaze Pe Humare
Tumne To Hume Bewafa Karar De Diya
Magar Aaj Bhi Labon Par Aata Hain Naam Aapka Hi Humare
Na Jaane Bagair Aapne
De Di Saza Bewaffai Ki Hume
Kya Aapki Adalat Main
Sunwaai Ka Mauka Nahi Milta


            Kya Hua Jo Na Mili Khushi Hume
            Gum Ko Gale Laga Lenge
            Gar Na Mili Aapki Mohabbat Kabhi
            To Yaadon Ke Sang Zindagi Guzaar Lenge


Gaur Farmaiye Mohabbat Ke
Nazme Pesh Karta Hoon
Dil Hi Nahi Aapko
Aapni Jaan Pesh Karta Hoon
U Heen Muskurate Rahen Aap Bas
Yehi Koshish Dil-O-Jaan Se Karta Hoon


            Deewana Banaya Aapki Chahat Ne
            Hum To Aise Na The
            Pata Hota Milti Hai Judaai Is Mein
            To Kabhi Mohabbat Hi Na Karte


Us Chaand Ki Taraha
Aap Bhi Badalon Main Chip Jaate Hain
Raha Raha Kar Kyon Hume Tadpate Hain
Kisi Taraha Mana Lete Hain Dil Ko Magar
Kambakth Is Aasuon Ko Nahi Rok Paate Hain


            Tha Who Rahi Main
            Jiski Koi Manzil Na Thi
            Who Leher Tha Main
            Jiska Koi Saahil Nahi
            Sawara Hai Aapke Pyaar Ne
Warna Is Na Cheez Ki Koi Aukat Na Thi
Piye Hi The Do Ghoont
Jaam Ke, Ke Aankhen Bhar Aayi
Jab Poochi Wajah Logon Ne
In Behete Aasuoon Ki To
Samne Tha Aapka Chehera
Aur Laboon Pe Muskaan Chayi.


                Ek Din Yeh Aasun
                Humse Pooch Baithe
                Kyon Hame Roz Bulate Ho
                Samjhya Asuon Ko Humne
                Yaad Hum Unhe Karte Hain
                Lekin Aa Tum Jaate Ho.


Har Waqt Aapki Yaad Aati Hai
Har Baat Mein Aapki Baat Aati Hai
Socha Tha Milenge Khwabon Mein Hum
Raat To Aati Hain Magar Neend Nahi Aati Hai


                Kya Hoti Hai Zindagi Jaana Aapse Milne Ke Baad
                Milti Hain Isme Khushiyaan Jaana Ise Jeene Ke Baad
                Pehle Har Lamha Ginte The Hum Na Jaane Kab Khatma Hoga
                Ab To Sadiyaan Bhi Kam Lagti Hain Aapke Sang Guzarne Ke Baad!


Kabhi Ki Hogi Surj Ne Chaand Se Mohhobat
Tabhi To Chaand Mein Ddag Hai
Mumki Hai Chaand Se Hui Hogi Bewafai
Tabhi To Suraj Mein Bhi Aag Hai.



                Thodi Si Tanhaai Hai Thoda Sa Sunapan Hai
                Pass Nahi Humdam Humara Aankhen Humari Nam Hai
                Dil Se Teri Yaad Jati Nahi Raton Ko Neend Hume Aati Nahi
                Toofan To Aksar Uthate Hain Is Dil Mein Magar
                Is Kambhakt Dil Ki Pyaas Bujha Pate Nahi

Kaun Keheta Hai Sirf Qayamat Hi Jaan Leti Hai
Zara Mohobbat Karke Dekhiye
Zalim Qayamat Bhi Is Ke Aage
Dum Tod Deti Hai.



                Kyon Uthta Hain Dard Is Dil Main Rahe Rahe Kar
                Poocha Dil Se Pata Laga Karta Hai Yaad Aapko Yeh Dil Humsafar
                Manaya Dil Ko Humne Ke Pyaar Karne Wale Dard Nahi Diya Karte
                Huns Pada Dil Hum Par Yeh Kahakar, Hume To Mila Sirf Dard
                Aapko To Dekha Hain Hum Ne Pal Pal Tadapte.

Aapne milkar humse Jod diye tukde dil ke
Jo toota tha kabhi kisi ke pyaar main
Palkon ko kholne ki gustakhi hum na karenge
Kyonki ek duje ke ho gaye hain hum
Dekh raha hoon main yeh khwab main.


    Hawayein kehe rahi hai choti si hai zindagi bus jee lo
    Pata nahi kab chalak jaye yeh jaam ise jhat se pee lo
    Hawayon se kaha humne kai bar chalke hai ek baar aur sahi
    Nahi chalkega abki bar yeh jam kaha dil ne
    Kyonki humne suna tha ek naam lete huye dil ko
    Kahin woh aapka to nahi?


Deewano ki mahefil main ek deewan main bhi hoon
Jala deti hai jo shama uska parwana main bhi hoon
Suna hai pyaar ishq tabaha kar deta hai hume
Magar is raha par chalne ko tayaar main bhi hoon


    Kagaz ki kashti pe sawar hume woh nayi duniya main le jate hain
    Karte hain kuch aisi baten ki hur baat par unki ek naya sapna sajate hain
    Sapne to phir sapne hote hain sach hai ye kab aapne hote hain
    Isi dar se jab palkon ko kholte hai to humesh ki taraha khud ko akela pate hain.


Berukhi se pyaar ko dosti ka naam dete hain
Pyaar nahi hai tumse kehekar zakhm huzar dete hain
Darte hain woh ke dil toot na jaye phir kahi yeah to saaf pata chalta hai
Magar is baat se be-khabar hain ke humare dil se pal pal khelte hain
Kyon Zindagi Lagti hai Aisi
Jaise sab Kuch Kho gaya ho
Bheed main bhi mano
hum hi ek akele hon
kyon tanhai ka daman nahi choota hai
Mano gum ka sirf humse hi rishta ho


        Aasuon ko baha kar samjha humne
        ke mushkilon se nata khatm hua
        Jaise dhal gaya ho chand
        Aur pyaara sa sawera hua
        jab khola palkon ko humne to paya
        Khwabon ka aachal tha haathon main
        Bhool gaye Khushiyan saari
        Gum ka phir andhera hua


Kisi deewane ki tarah hateli par
naam unka likha karte the hum
Judaai main unki katra katra
Aansu ka roya karte the hum
Pyaar ishq fakat kuch lamhon ka tha unke liye
Magar mohabatein-gulistan ke bahgban bane behte the hum


        Sitaron ki roshni main dhoonda kiya karte the hum
        mod unki galiyon kuchon ka
        ab to din ke ujalon main bhi
        unka ghar anjana sa lagta hain
        is kadar toota hai dil mohabbat main unki
        ke koi khwab tootne ka dar nahi lagta hai





No comments:

Post a Comment